Hindu Prayers
Mere man ke Divya Mahal mein
Mere man ke Divya Mahal mein, Ab he Hari vaas karo.
Man Mohan maanas pooja, Meri svikaar karo.
Ye divyambar hain arpan, mere maanas mod bharo.
Mere man ke Divya Mahal _____ Kasturi may chandan, nij bhaal kripaal dharo.
Svaccha suman ki mala, Prabhu kanth samarpit ho.
Mere man ke Divya Mahal _____
Yah dhoop sugandhit may, nirmal deep dikhaaoon may.
Is hem rachit bartan meinnit bhog lagaaoon may.
Mere man ke Divya Mahal _____
Ye rituphal arpan hain, kar lo svikaar prabhu.
Mere man ke Divya Mahal _____ Divya sugandhit may, ye mukhvaas chadhaaoon ga.
Mein saadar harshit ho, ab sangeet sonaaoon ga.
Mere man ke Divya Mahal _____ Mein Man mein magna hua, ashtaang pranaam karoon.
Jeevan arpan sevaa mein, bas yahi bhent dharoon.
Mere man ke Divya Mahal _____
Ganesh Stavan
Jayti sumukh jay Ganesh ek dant Pyaare,
Jay kapil gaj vadan deenan dukh hare.
Ek dant soorpa karna mohak chhabi daare. Jayti ____ Rudra tej vikat roop daitya dalan kaari,
Gajmukh shri bhaal chandra Ganpati bhay haari. Jayti ____ Dvaadash hain divya naam rog shok haari,
Riddhi siddhi sadaa rahe jag mangal kaari. Jayti ____ Gauri putra he Ganesh bhakta traas haari,
Pratham pujya aadi Dev santan rakhvaari. Jayti ____ Pratham srishti maan bhavani lila vapu dhaari,
Ek kalp svayam Vishnu Ganpati roop kaari. Jayti ____ Aap kartaa aap bhartaa leelant kaari,
Brahma Rudra Vishnu tumhi shakti roop dhaari. Jayti ____
Dev danuj yogi manuj aap ke pujari,
Naad bindu kalaateet he om kaari. Jayti ____
Riddhi siddhi praapta kare man vancchit paayi. Jayti ____
Vishnu Stuti
Hari bol Hari bol Hari Hari bol, Keshav maadho Govind bol.
Sunu Girija Hari charit suhaye, bipul vishad nigmagam gaye.Hari avtar hetu jegi koi, Idmithyam kahi jaai na soee.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Jab jab hoi dharam ki hani, badhai asur adham abhimani,
Tab tab Prabhu dhari vividh sharira, Harihin kripanidhi sajjan peera.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Roop virat saman na doosar, shayan karat ahiraj ke oopar,
Karna nasika shish hajara, roop virat sarv sansara.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Tasu nabhi te pankaj phoola, niksew tasu Brahma jag moola,
Pratham janma Sankadik charu, mahi uddharan bhaye baharu.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Tritiyas yagya purush le janma, pragat kinha sab muni makh karma
Ashvagriv sruti Prabhu tan dhara, pancham nar Narayan avtara.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Kapil Muni shashtam gun khana, Dutt Dev saptam jag jana,
Ashtam Rishabh Dev kartara, gyan marg ka kare prachara.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Ven mathan hit Prithu nav hoi, dasham meen pragatey khar drohi,
Sindhu mathan ekadash Kacchap, dvadash Dhanvantari sur rakshak
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Tab Prabhu dhar Mohini Avtara, nar Hari rup men bhakta uddhara,
Kardam dhar Vaman ban aye, parashuram ban dharm bachaye.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Dash aur satvan rup sujana, Vyas rup men Ved bakhana,
Ram Chandra ban Ravan mare, baldaoo ban dusht sanhare.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Bisvin Krishna Chandra Bhagvana, ek vinsh Hari Dhruv hit thana,
Hans rup men Prabhu jab aaye, atma yog Narad prati gaye.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Hoyahin yagya kupatran dvara, tab dhar Vishnu Buddh avtara
Badhai shudra kshitishan Ishvar, Kalki rup dhar Kaliyug andar
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——- Hari anant Hari katha ananta, kahahi sunahi bahu vidhi sab Santa
Avani bhar nashan Bhagvanta, lilamay vapu dharahi ananta.
Hari bol Hari bol Hari Hari bol ——
Shiva mahima
He Shiva Shankar jay abhayankar sukh barsane vale,
Data tumhi is bhutal ke bhakton ke rakhvale.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye.
Nirgun sagun rup apka bhakton ne anand liya.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye. Pratham divya Brahma ko tumne Vedon ka adhikar diya,
Chakra sudarshan Hari ko dekar Shrishti ka uddhar kiya.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye. Indra ko de di kamdhenu aur Eravat kariraj diya.
Sari basudha di Kuber ko aur sara bhandar diya.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye. Dev sabhi ko amrit dekar aap halahal paan kiya,
Svarna mahal ravan ko dekar bhaklton ka uddhar kiya.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye. Man Mohan ko murli dekar prem path vistaar kiya,
Ram Chandra ko dhanush ban se neeti nyay ka dan diya.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye. Muni Narad ko veena dekar nav ras ko utpann kiya,
Svayam vyas ban gyan panth ka Santon ko sanmarg kiya.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye. Yogi bankar yog marg ka tejomay adarsh diya,
Bhogi bankar karm marg ka is jag ko updesh kiya.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye. Alakh Niranjan bhav bhay bhanjan bhakton ne yoon gaan kiya,
Manav Danav Dev sabhi ko man chaha vardan diya.
Om namah Shivaye bolo Om namah Shivaye.
Durga Puja Evam Stuti
Durga ka Dhyan:
Sinhastha shashishekhara markat prakhyeysh-chaturbhirbhujayh,Shankh chakra dhanuhushrashch dadhati netreystribhihi shobhita.
Aaamuktangada hara-kankana ranatkanchee – nupura,
Durga Durgati harini bhavatu no ratnoll-satkundala.
Dhyanarthey Akshat pushpani samarpayami.Shri Durgey namah.
Meaning:
O Devi Durga! Iyou are seated on the mount of a lion;You are adorned with a tiara luminous like the Moon; Your forehead is shining like a diamond; You wield Shankha (conch), Chakra (discus), Dhanush (bow) and Baana (arrow) in Your four hands; You have three eyes and You are wearing numerous jewellery which emanate divine musical sounds; Your anklets produce sound of the war; cry,Your ears are decorated with breath takingly beautiful ear rings bejewelled with nine precious gems, which shine gloriously! O Bhagvati Durga please remove all our misfortunes and sins!
Shakti ke teen roop
Doha:
Adhya Shakti ke rup me jo rahati nirgun rup,
Bhakton ki raksha ke liye jo dharti teen rup,
Jay Jag Janini jay Mahamaya Durga durgati hari,
He Ambe Maat Bhavani jay Durga Durgati hari.
Tu hi Vani rup bani hai phir bhi tu hai ek,
Satva rajas aur tamo bhava se rahati tu nirlep,
He Ambe Maat Bhavani jay Durga Durgati hari. Moh huwa jab teen Dev me akar unhe bachaya,
Mahakali ban tamo bhava se jeevon ko bharmaya,
Tu hi nindra tu hi maya Pragya tu hai mahan,
He Ambe Maat Bhavani jay Durga Durgati hari. Rajo bhav se Maha Lakshmi ban chetan shakti jagai,
Matri bhav se pala tu ne jag ko jeeva sadahi,
Bhakton me sadbhav bhuddhi ban gyan prabha laharai,
He Ambe Maat Bhavani jay Durga Durgati hari. Satva bhav se Maha Saraswati gyan roop dahre,
Sare jag ko andhkar se kshan me mukta kare,
He Jvala he Vaishno tu ne lakhon kashta hare,
He Ambe Maat Bhavani jay Durga Durgati hari. Jab jab peer padi bahton par akar aan bachai,
Shumbh Nishumbh mahabali danav kshan me mukti pai,
Tu hi Kali tu hi hai palak tu ne shrishti rachai,
He Ambe Maat Bhavani jay Durga Durgati hari.
Surya Puja Evam Stuti
Surya ka Dhyan
Raktambujasanam ashesh gunayk– sindhu,
Bhanu samasta jagatamdhipum bhajami,
Padma– dvaya bhay varan dadhatam karabjey,
Marnikyamaulimarunaang ruchim trinetram.
Dhyanarthey Akshat pushpani samapayami.
Om Shri Suryaye namah.
Surya Stuti
Adi Dev namastubhyam praseed mam bhaskara,Divakara namastubhyam Prabhakara namoastu te.
Doha
Kanak vadan kundal makar mukta mala ang,
Padmasan sthit dhyaiye shankh chakra ke sang.
Namo namo Aditya Divakar, Prakhar jotimay he Bhuvaneshvar.
Tum ho adi Dev jag palak, srishti sthit ke tum sanchalak,Jagat pujya tum antar yami, kripa karo hum par he Swami. Namo namo Aditya Divakar, Prakhar jotimay he Bhuvaneshvar.
Dvadash nam prasiddh tumhare, adhi vyadhi ko metan hare,
Dharm arth aur kam moksh prad, ripu sudan saddharm gunakar,
Ravi Pusha Aditya Divakar, japat mite bhav rog nirantar, Namo namo Aditya Divakar, Prakhar jotimay he Bhuvaneshvar.
Purva disha Arunoday karak, Pkshim gati se tam sanharak,
Sahastra kiran se jyoti prakashak, char srishti ke tum ho Ishvar,
Shad ritu ke tum hi ho Swami, Pragya prerak jaldhar dani,
Jal sthal nabh gan ke he nayak, divya prakash bharo ur antar,
Aarti Shri Ganesh Ji Ki
Jay Ganesh jay Ganesh jay Ganesh devaa,Maataa jaaki Paarvati Pita Mahaadevaa. Jay Ganesh — Ek dant dayaavant chaar bhujaa dhaari,
Mastak sindur sohe muse ki savaari. Jay Ganesh —
Paan chadhe phool chadhe aur chadhe mevaa,
Laduvan ka bhog lage sant kare sevaa. Jay Ganesh —
Baanjhan ko putra det nirdhan ko maayaa. Jay Ganesh — Haar chadhe phool chadhe aur chadhe meva,
Surshyaam sharan aaye suphal kije sevaa. Jay Ganesh —
Om Jay Jagdish Hare Aarti
Om jay Jagdish hare Swaami jay Jagdish hareBhakta janon ke sankat Kshana men dur kare Om jay —- Jo dhyaave phala paave Dukha bina se mana kaa
Sukha sampati ghara aave Kashta mite tana kaa Om jay —- Maat pitaa tum mere sharan gahoon kiski
Tum bin aur na dujaa aash karun kiski Om jay —- Tum puran Paramaatmaa Tum Antaryaami
Paar Brahma Parmeshwar Tum sab ke swaami Om jay —- Tum karuna ke saagar Tum paalan kartaa
Mai sevak tum swaami Kripaa karo Bhartaa Om jay —- Tum ho ek agochar Sab ke praanpati
Kis vidhi milun dayaamay Tum ko main kumati Om jay —- Deen bandhu dukh hartaa Thaakur tum mere
Apane haath uthaao Dwaar padaa tere Om jay —- Vishay vikaar mitaavo Paap haro Devaa
Shradhaa bhakti badhaao Santan ki sevaa Om jay —- Tan man dhan sab kucch hai tera,
Tera tujh ko arpan kyaa laage meraa. Om jay —-
Shiv Ji Ki Trigun Aarti.
Om jay Shiv Om kaara, Har jay Shiv Omkaara,Brahma, Vishnu sadaa Shiv,, Ardhaangi dhaaraa. Om jay — Ekaanan chaturaanan, panchaanan raajay, Hansaanan Garudaasan, vrishvaahan saajay. Om jay — Dau bhuj chaar chaturbhuj, das bhuj ati sohay,
Teeno roop nirakhtaa, tribhuvan jan mohay. Om jay — Acchay maalaa van maalaa, Munda maalaa dhaari,
Chandan mrigmad sohay, Bhole shashi dhaari. Om jay — Shvetaambar peetaambar, baadhambar ange,
Sankaadik Garudadik, Bhutaadik sange. Om jay — Kar madhye kamandalu, chakra trishul dhaari,
Sukh kaari dukh haari, jag paalan haari. Om jay — Brahma, Vishnu sadaa Shiv, jaanat avivekaa,
Pranvaakshar ke madhye, yah teeno eka. Om jay — Kaashi me vishvanaath Viraajat, Nando Brahmachaari,
Nit uthi bhog lagaavat, mahimaa ati bhaari. Om jay — Trigun Swami ki Aarti, jo koi nar gaavay,
Kahat Shivaanand Swami, man vaancchit phal paavay. Om jay –
Surya Dev Ji Ki Aarti
Jay Kashyap Nandan Om jay Aditi Nandan,
Tribhuvan timit nikandan bhakta hriday chandan.
Dukh haari sukh kaari maanas mal haari. Jay Kashyap — Sur muni bhoosur bandit vimal vibhavhaari,
Adh dal dalan divakar divya kiran maali. Jay Kashyap — Sakal sukarma prasavitaa savitaa shubhkaari,
Vishva vilochan mochan bhav bandhan haari. Jay Kashyap —
Kamal samooh vikaasak naasak tray taapaa,
Sevat sahaj harat ati mansij santaapaa. Jay Kashyap —
Vrishtivimochan santat parhit vrat dhaari. Jay Kashyap — Surya Dev karuna kar ab karuna kijay,
Har Agyaan moh sab tatva gyaan deejay. Jay Kashyap —